Junior Assistant Recruitment : Hello Friends! Kya aap bhi ek acchi government job ki talaash me hain? To aaj hum baat karenge Cotton Corporation of India Limited (CCI) ki latest recruitment ke bare me. Ye Ministry of Textile ke under aane wali ek government organization hai jisne 135+ posts ke liye vacancies nikali hai. Is opportunity me permanent government job mil rahi hai with attractive salary package. Agar aap freshers hain ya phir graduation complete kar chuke hain to ye aapke liye golden opportunity ho sakti hai!
Whatsapp Channel
Telegram channel
CCIJunior Assistant Recruitment 2025 Overview
Organization Name: Cotton Corporation of India Limited (CCI) Total Vacancies: 135+ posts Job Type: Permanent Government Job Application Start Date: 9 May, 2025 Last Date to Apply: 24 May, 2025 Selection Process: Online Exam
CCI Recruitment 2025 ek golden opportunity hai un sabhi candidates ke liye jo permanent government job chahte hain. Especially agriculture graduates aur electrical/electronics diploma holders ke liye ye ek excellent opportunity hai. Competition kam hone ki wajah se selection chances zyada hain. Last date 24 May 2025 hai, isliye jaldi apply karein aur apna career secure karein!
Agar aapke koi questions hain is recruitment se related, to comment section me zaroor puchein. Hum aapki help karenge!
FAQs
अक्सर पूछे जाने वाले प्रश्न
प्रश्न
उत्तर
CCI kya hai?
CCI (Cotton Corporation of India Limited) vaster mantralaya (Ministry of Textile) ke under aane wali ek government organization hai.
Kya ITI ke baad lateral entry se diploma karne wale apply kar sakte hain?
Ha, agar aapne electrician ITI ke baad electrical engineering me diploma kiya hai to aap Junior Assistant post ke liye eligible hain.
Kya B.Tech Agriculture graduates Junior Commercial Executive post ke liye apply kar sakte hain?
Ha, BSc Agriculture ke sath-sath B.Tech Agriculture graduates bhi apply kar sakte hain.
Exam ka medium kya hoga?
Exam English medium me hoga.
Probation period kitne time ka hai?
Probation period 12 months (1 year) ka hai.
Note: Is post me di gayi jankari official notification se li gayi hai. Kisi bhi confusion ke liye official notification check karein.